Jaane kya dhoondta hai, ye mera dil Tujhko kya chaahiye zindagi Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil Tujhko kya chaahiye zindagi Raaste hi raaste hain, kaisa hai yeh safar Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil Tujhko kya chaahiye zindagi Bechehra sa koi sapna hai voh Kahin nahin hai phir bhi apna hai voh Aise mere andar shaamil hai voh Main hoon behta dariya, saahil hai voh Hai kahan voh, voh kidhar hai, raaste kuch to bata Kaun sa uska nagar hai, rehguzar kuch to bata Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil Tujhko kya chaahiye zindagi Soona sa hai mandir, moorat nahin Khaali hai aaina, soorat nahin Jeene ka jeevan mein kaaran to ho Maheke kaise kaliyaan, gulshan to ho Shamma hai jo mujh mein roshan, voh viraasat kisko doon Door tak koi nahin hai, apni chaahat kisko doon Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil Tujhko kya chaahiye zindagi. |
Website for Lyrics and Video Song